Online internet se paise kaise kamaye How to make money online

Aaj kal sabse zyada crease chal raha hai ki online internet se paise kaise kamaye sabhi log ye sochte hai. To aaj me apko isi base par ye article likh raha hun. Or Isme me apko bataunga ki aap kaise online paise earn kar sakte ho.
Online internet se paise kaise

Online internet se paise kaise kamaye How to make money online

Main apko is post me bus wo tarike bataunga jo aaj ke time me sabhi log usko hi use kar rahe hai. To aap ye post pura padhe post padhne ke baad apko samaz me aayega ki Online internet se paise kaise kamaye.

Ye Zaroori baat aap pahele read karein.

Sabse zaroori internet se paisa kamana itna aasan kaam nahi hai. Or aaj ke time me to day by day or bhi tuff hota ja raha hai kaise.
Kyonki ye jo aaj kal log internet se paise kama rahe hai uska sabse high earning platform “Google Adsense” hai.
Sabhi ko isse paise kamane ke hod lagi hai. Kyonki world me agar online paisa kamana hai to isse Achha tarika internet par koi nahi hai. Kyonki ye hi sabse zyada paise earn karne ka mouka deta hai. Or bhi Hai but wo itna paisa nahi de sakte unke baare me bhi aage post me bataunga.

Google Adsense se paise kamane ke liye kya karna hota hai?

Google adsnese se paise kamane ke liye sabse achha tarika hai youtube par apna koi video upload karke. Jo aaj kal India me to day by day log isko use kar rahe hai. Apko jo aata hai aap us base par apna koi video ready karo or youtube par Upload karo.
Uske liye apko youtube par apna koi channel banana padtha hai. Jo ki sab kuchh free hai. Tab youtube apki video par ads dikhayega wo paisa youtube Google adsense ko deta hai. Tab google adsnese wo paisa apke bank account me transfer kar deta hai.

Google adsense se paise kamane 2nd method.

Agar Apko kuchh aisa kuchh new aata hai jo internet par bahut kam ho. To aap uske uper koi ek website bana sakte ho or us website par apne koi article post karo. Or apka article logon ko pasand aaya to aap usse bhi google adsense se paise kama sakte ho. Jaise ki aap mera ye article padh rahe ho.
But article aise hone chahiye jo internet par bahut kam ho. Or sabse zaroori baat kisi ka bhi style or article “Copy” mat karna warna apki sabhi mahnat bekaar jayegi Adsense ye allow nahi karta.

Online internet se paise kamane ke liye website kaise banaye.

Google adsense WordPress, Blogger par bani website ko zyada allow karta hai. Or us par zyada paise bhi deta hai.
Wordpress par website banane ke liye apko pahele kuchh paise invest karne padhte hai. Aap interested ho to wordpress ki website bana sakte ho.
Agar free me site create karna hai To uske liye Aap Blogger par apna free website banaker pasie earn kar sakte ho.
Paise kamane ke liye ye kuchh tips maine apko shortcut me bataya hai. Baaki agar aapka jo sawal hai wo aap mujhe comment me puchh sakte ho. Wahan me apke sawalon ka jawab dunga.
But usse pahle kuchh ye sawal dakhen.

Online internet se paise kaise kamaye Kuchh puchhe gaye question answer.

Q.1 Mere pass songs uploading php website hai usse google adsnese laga sakta hun?
Ans.1 Haa laga sakte ho but usse pahele apke pass koi fully Approved Adsense hona chahiye.

Q.2 Songs php website se adsense ke liye apply karein to approvel milega ?
Ans.2 Nahi milega kyonki Wo content copyrights me aata hai. But ads laga sakte ho jab apke pass fully approved adsense account ho.

Q.3 Google adsnese youtube se kab tak mil jata hai?
Ans.3 Adsense ke liye apko pahele kuchh karke dikhana padta hai. Chahe wo site, blogs, youtube koi bhi ho. Matlab jaise youtube se adsense chahiye to pahele kuchh video upload karna padta hai. Video copyright naa ho or Video par minimum 10000 Views hone chaiye. Tab Aapko adsense account mil sakta hai.

Q.4 Adsense kis type ke website or blog ke liye approvel deta hai?
Ans.4 Waise to aap kisi bhi type ke website se apply kar sakte hai. Sexual, Hacking, etc contnet ko chodkar. google adsnese WordPress par bane blog or Jisme aap koi interested jaankari user’s ko provide karte hai. Jo user ko pasand aati hai. Uspr bahut zaldi approval deta hai. But wo kisi ka “copy” nahi kiya ho Apka khud ka hona chahiye.

Q.5 Kya song downloading par bhi paise milte hai?

Ans.5 ye question mujhse kafi user karte hai. Aisi Koi bhi website nahi hai jo song download par paise earn kar sakti ho. Or nahi aisi koi company jo apko apki website par song download hone ka paisa de.
Agar apki website par traffic (user’s) zyada hai to aap kisi bhi company ke ads apni site me laga kar paise earn kar sakte ho.
Paise aap sirf or sirf ads laga kar hi kar sakte hai. Koynki song download hone ke sath sath Ads par bhi click hota to uska paisa milta hai.

Q.6 ek ads click par kitna paisa milta hai?
Ans.6 Iski koi fix limit nahi hoti wo advertiser par depend hota hai. But sabse achha paisa google hi deta hai.

Ye maine kuchh apko paise kamane Exmaples diye hai. Agar apka bhi koi question hai to niche comment box me likhkar mujhe batayein. Apke sawal ka bhi jawab dunga.

Hum apni website par kis website ke ads laga sakte hai

Sabse achha to adesnse hi hai. Agar apke pass google adsnese ka acoount nahi to bhi or kafi sites jo ads provide karti hai. Aap uske ads laga sakte ho.
Jisme ke ek ye website hai isse aap kisi bhi type ki site se ads laga sakte ho. Or bhi achhi website hai jo achhe paise apko de sakti hai uske baare me Next post me bataunga.

Online internet se paise kaise kamaye Agar apko ye post achhe lage ya apka koi sawal ho to commnets kar sakte hai. Aap hamara facebook page like karke or bhi jaankari le sakte hai.

10 Comments

  1. Dharmendra Reply
  2. Ramkrishna Reply
  3. Sagar Yadav Reply

Leave a Reply

%d bloggers like this: