Dosto kya aap janna chahte hai ki hosting business se paise kaise kamate hai. How to make money on hosting site. Aaj ke is internet ke time me sabhi log online paise kamana chahte hain. Online Paise kamane ke tarike internet par kafi hai. Jisme ek ye bhi hosting business isse bhi log kafi achha paisa kama sakte hain.
Hosting Business Se Paise Kaise Kamate Hai
Dosto aap agar hosting business start karna chahte hain, to apko uske liye vps server, ya dedicated server lena padta hai. Jiska price kafi costly hota hai.
To aap first time business start karne ke liye kisi server wale ke pass se ek “reseller hosting” buy kar sakte hain. Jo kafi saste price par apko mil sakta hai. Isme apko ek WHM (Web Host Manager) account milta hai. Aap isme apne friends ya other customer ko cpanel create karke de sakte ho. Or uske badle aap us customer se paise earn kar sakte ho.
Hosting Business Ko Automatic Kaise Banayein ?
Dosto agar aap hosting business ko automatic banana chahte hain. To Apko ek software apne cpanel me install karna hoga jiska name hai “WHMCS” Ye apke hosting business ko automatic banata hai.
Jisse aapka hosting ka kaam 90% Whmcs hi karta hai. Jaise:Client apki website par hosting register kar sakta hai. Payment complete hone par cpanel account create karke cpanel ka username, password uske email par send kar deta hai. Hosting ka renewal nahi karne par cpanel account ko automatic suspend kar deta hai. Waise to iske of bahut zyada advantage hai.
Whmcs install hone ke baad aap paise ko apne bank account me received kar sakte hain. To dosto ye thi aaj ki hamari chhoti se jaankari.
Dosto pichhli post me maine apko low price ki hosting ke baarein me bataya tha. Aaj apko hosting business se paise kaise kamate hai iske baarein me bataya hai. Iske baare me adhik jaankari ke liye visit www.getindiahost.com kyonki getindiahost bhi ab Reseller Hosting Provide karta hai.
Agar abhi bhi apka koi question hai to niche comment box diya hai comment kar sakte ho.
Nice Job Download Full Movies.
Thanks