Mujhse ye sawal kafi log puchhte hai ki wapka website mai domain kaise add kare . Waise to maine iska video bhi banakar upload kar diya hai. Lekin main apko is post me kuchh step by step batane ki koshish karunga. Wapka website mai domain kaise add kare .in .com ya .tk ka domain add karna hai to wo kaise kar sakte hai. Agar main is post me kuchh step bhool bhi jata hun to aap mujhe comment karke puchh sakte hai.
Wapka website mai domain kaise add kare .in .com .tk
Agar apko apni wapka website .in .com .net ka domain add karna hai To apko pata hi hoga Ki aise domain apko pahele purchase karna hota hai. Jise aap Godaddy.com ya bigrock.com Se purchase kar skate hai.
Joki first time purchase karne par apko bahut hi kaam price me .com ka domain mil jata hai.
Agar apne apna koi domain purchase kar liya hai. Or ab aap usko wapka par add karna chahte hai. To isse pahele apko Domain ka DNS (Namesever) update karna padega. Domain ka nameserver kaise update kare.
Agar apne godaddy ya bigrock se domain purchase kiya hai. To aap unke customer care se call karke hindi me baat kar sakte hai. Wo apko Live domain management setting kara denge. Hum is post me shikh rahe hai ki wapka website mai domain kaise add kare. To wapka ka nameserver kaisa hota hai. for example:- NS1.WPAKA.MOBI OR NS2.WPAKA.MOBI ye.
Maine ek .tk ka nameserver is image me add kiya hai. Aap koi bhi domain add karo same aise hi add karna hai.
ye sab process compelete karne ke baad apko Ab wapka me apna domain add karna hai. Domain kaise add kare Aap mere dwara diya gaye step ko follow kare.
1:) Sabse pahele to apne wapka account me login kare >> Or jis site par domain add karna hai us par click kare.
2:) Ab apko Basic function me option milega >> “Domain manager” kar us par click kare.
3:) Is page me apko “Own Domain” par click karna hai. click karne par ek page open hoga is type ka.
Ab apko ye step follow karne hai.
1:) Apne jo bhi domian purchase kiya .in .com .net ya .tk wo domain is box me fill kare.
2:) “Add domain” par click kare. Bus apka domain ab wapka me add ho gaya hai. Agar apne DNS Nameserver me koi error nahi kiya hoga to Apko msg milega your domain succesfully add ka. Agar apko name sever me koi error (galti) ki hogi to apko error show karega.
3:) Agar apko error show kar raha hai to Iske instruction ko follow kare or fir try kare. Ho jayega.
Is process me kuchh time laga jata hai. 24 hour ke under apka domain run karne lagega. Aap browser refresh karte rahe.
I hope apko ye post pasand aayi hogi Aapne is post me shikh liya hai ki wapka website mai domain kaise add kare.
Free .tk domain kaise register purchase kare. Free web hosting kaise register kare.
Wapka website banane ke all wapka code downlaod here.
sir maine video dekha ki dholki pattern banany ka maine same usko fl m use kiya lykin sir dholki nhe bana vo aur koi beat bn gye kya aap sikha sakty hai
pattern to apko har song ka alag type se create karna padta hai song ke according
sir mujhko bas dholki pack bnana sikhna hai
hamari flp download karke unko dakho usme use hai dholki pattern ka.
sir mera fl studio ragestard nhe to kya sir mai apka flp downlod kr k apny fl m chala sakta hu ya nhe
chala sakte ho but save nahi kar sakte
Sir blogger ka template download nahi ho raha he hame download link do bhai
is post me template diya hai.
Download nahi ho raha he template
ab usko update kar diya hai ab ho jayega.
bro mera wapka site total download show nhi kr rha kya problem h plezz tell
apka nahi sabhi ka ye problem hai ab wapka me ye feature work nahi kar raha hai.
Bhai wordpress par website bana kab btaoge aap
wordpress ko post ke trough cover pana muskil hai. fir bhi main try karunga
hello sir ek bat ko main bahut confuze hun aap hi solution batayen– ki mp3 download site wapka se bhi banate hain aur php se bhi wapka se maine bana li hai ab aap batayein ki issse paise kaise kama sakte hain, yar fir wapka se paise nhai kama sakte isliye php ko banana padega, aap hi batayen – php sites par kya song download par paise milte hain,
nahi paise to apko apki site par jab zyada se zyada log visit karenge or apki site par ads lage honge to uske paise milte hai.
site chahe php ho ya wapka ads to dono par hi lagane padte hai. paise kisi bhi site se kama sakte hai wapka se bhi or php se bhi bus apki site par traffic achha hona chahiye.
1 – to kya song downloading par paise nahi milte hain ? ,
2- kya ye aur sites jaise – pagalworld, songspk, pakheaven, ragtune, jaisi site ads lagati hai ? ye paise kaise kamati hain.?
3- wapka me ads lagane ki koi sahi site batao jo fake na ho?
sir maine adimobi.com se ads laye the to payment 2 doler tha aproove kiya to 4 mahine ho gaye abhi pending me hai, mujhe aisi site batao jo fake na ho
————————————————-please sir help me
1 nahi song downloading par paise nahi milte.
2 haa ye website bhi ads lagati he aaap check kar sakte ho. ki website ki site ke ads laga rahi he.
3 main jis site ke ads use kar raha hun wo he adzearn.in or ye paytm se ek hi din me pay kar deta he.
but jab bhi 2$ ho jaye tabhi payment ke liye apply kar dena. aage ye bhi dhoka kar sakti he.
sabse accha tarika ye hi hai ki badi site jaise dj punjab. ye kis site ke ads lagate hai to uske hi aap use kare.
Mera website Google par add nhi ho rha hai Kya Kare hm bahut paresan hai
ye post dakho ho jayega.
Or kio nhi hai website Jes par hm APNA website baba saktey
wapact par bhi bana sakte ho.
Sir mane ik wapka ki site creat ki hai sir me us site per song upload karta hu to bo song download Nahi hota error deta hai sir please help me please sir please
Sir jaldi hal nikalye please
aap wapka ki website mat banao wapact ke banao ye accha hai koi problem nahi hai. or iske maine videos bhi banaye hai.
Vst ka passand kiya he bhai
kis vst ka agar hoga to usi post me uska password bhi diya hoga. Agar nahi to is post me check karo.
sir maine wapka site ko google me
sūbmit kar diya hai tab bhi sarche karne pe nahi aati agar fùl name daalta hù jaise to aatı aùr agar kewal djkùldeep daalo to nahi aati hai
aisa nahi ki aap site ko google me dalo or wo ek sath keyword se sarch me aaye. site add karne ke baad jab site popular hoga to keyword se search me aayegi. Google me terms or conditions ke according site ko 6 month lagte hai rank karne ke liye.