skytech script kaise install kare how to fully install skyitech script admin panel

Aaj hum is post me shikhenge ki skytech script kaise install kare how to fully install skyitech script admin panel. Agar aap skyitech script ka website create karna chahte hai. To aap ye post pura or sahi se read kare. Kyonki is post me main apko step by step skytech script install karne ke processs bata raha hun.

skytech script kaise install kare how to fully install skyitech script

Mujhe user ne kafi comments kiye iske baare me ki skytech script kaise install kare. Or install kar bhi liye to uska admin panel open nahi hota hai. Script install karne ke baad uska admin panel bhi install karna padta hai. Kaise karte hai Ye post sahi se read kare or admin panel bhi work karega.

Is post me main apko kuchh 2-3 images me tips dunga. Jisme aap samaz sakte hai or baki aage ke process uske hi base par hogi.
To start karte hai ye topic ki skytech script kaise install kare with admin panel.
Sabse pahele aap apne Hosting Cpanel me login kare. File manager par click kare > uske baad public_html folder par click kare. Ab aap is folder me ye skyitech script ka zip file upload kar digiye. Script ke zip file upload karne ke baad usko “Extract” kar digiye. Skyitech apke pass nahi hai to yahan se downlaod kare.

Agar apke pass hosting nahi hai to hamari website getindiahost.com se hosting buy kar sakte hai low price par.

Ab apne cpanel me ek database create kar ligiye. Database kaise create karte hai ye post me dakho. Ab wapas se public_html ke folder me aate hai or script install karne ke process start karte hai.

How to install skyitech script step by step.

1:- Public_html folder ke under ek file hoga “Index.php” Usko Edit kare. Niche jo image hai uske according setting kare.
skytech script kaise install kare
Yahan aap no. 3 ki line me www ke sath apna “site Url” Daalna hai. Or 4 par http ke sath Site url dalna hai. No. 10 par Sitename daal digiye. Aage hum inko hi site url or sitename ka use karenge.

2:-Ab Skyitech/dbconnect.php.

Isme apko apna database connect karna hai. Apko isme no.4-8 tak ki line ko edit karna hai.
skytech script kaise install kare
Yahan aap no.4,6 me apne database ka user daal digiye. Or 5,7 me database ka password dale. No. 8 me database ka name daal kar save kar digiye.

3:-Ab Skyitech/config/databases.yml.

Isme apko 14,20,21,22 line ko edit karna hai. Ye image me dakh lo kaise karna hai.
skytech script kaise install kare
No.14 me Sitename daalna hai. 20 par database name, 21 database user, 22 database password.

4:-Ab Skyitech/config/propel.ini.

Isme apko No.5,6 wali line me apna sitename Replace karke file ko save kar digiye.

5:-Ab Skyitech/apps/frontend/config/app.yml.

Yahan apko 1,2,3,4,8,10,11,12 line ko edit karke apni sitename, or site url change karna hai. jaisa ki is images me apko dikhaya hai.
skytech script kaise install kare
Matlab 1,2,3,4,8,11 points par apna sitename dalna hai. Or 10,12 par apna site url or file ko save kar dena hai.

6:-Ab Skyitech/apps/frontend/config/setting.yml.

Is file me apko No.10 par apna sitename replace karke file save kar dena hai.

7:-Ab Skyitech/apps/frontend/config/view.yml.

Yahan is file me aap NO.6 wali line me jo marzi daal sakte hai. Sitename, site url, ya apna name bhi daal sakte hai. Or file save kar dena hai.

8:-Ab Skyitech/apps/frontend/modules/default/actions/actions.class.php.

Isme apko NO.19 line me apna site url Or 20 me sitename daalkar file ko save karna hai.

9:-Ab Skyitech/apps/backend/config/app.yml.

Ye admin panel ke liye most file hai koi galati kar di to admin panel me error ho jata hai. Is liye apko sab sahi se is file me NO. 3,4,5,6,8,10,11,12,13,14,15,16 Tak ki lines me apna sitename or site url replace karne hai. Replace karke file save kar dena hai.

10:-Ab Skyitech/apps/backend/config/setting.yml.

yahan apko NO.9 par apna sitename replace kar dena hai.

11:-Ab Skyitech/apps/backend/config/view.yml.

Is file me apko No. 6,18,19,21 line me apna site url or sitename change karke file ko save karna hai.

12:-Ab Skyitech/apps/backend/modules/category/actions/actions.class.php.

Yahan apko NO.43 me apna site url change karna hai. Or no.44 par only sitename change karke file ko save kar dena hai.

13:-Ab css/sitename.css.

Isme apne css ke folder me jaker apni css file me apna sitename change kar digiye.

14:-Ab adminpanel/index.php.

Cpane me mm-admin4589 ke folder ko open kare usme index.php file ko edit karke 2,3,9 line me site url or sitename change karke file save kar digiye.

15:-Ab Skyitech/apps/backend/modules/advt/templates/indexSuccess.php.

Yahan apko is file NO.59 par jaker apna sitename change kare file ko save karna hai.

16:-Ab Siteuploads/advt/siteusername.

Is folder ko apne sitename se replace kar dena hai.

17:-Ab Siteuploads/.

yahan siteuploads ke under apko last me 2 files ho edit karna hai. 1 settings-m.php, 2 settings-p.php Dono file me aap apna site se related keywords set kar sakte hai. Or apna site url change karke dono files ko save kar dena hai.

Congress! Ab apki skyitech script install ho chuki hai ab aap apni sites ko open karke dakh sakte hai.
But abhi bhi apka admin panel install nahi hua hai. Agar aap admin panel me login karoge to error show hoga.
Admin panel me login karne ke liye apko apna cpanel ke database me skytech sql import karna padega. Tabhi apki script fully install hogi.
Skyitech script ka sql kaise import karte hai uske liye ye post me dakho. Or sql file ko download kar sakte hai.

I hope apko ye post skytech script kaise install kare samajh (concept clear) aayi hogi. Agar apko koi quetion to niche commnet box me mujhe likhkar bata sakte hai.
Or hamare facebook page ko like karke humse facebook par jud sakte hai. maine iska video bhi banaya hai jo abhi usko edit karke upload karunga. But uska link apko facebook par milega.

75 Comments

  1. hriday Reply
  2. Dj Nagesh Reply
  3. Satyam Reply
  4. Satyam Reply
  5. aman kumar chauhan Reply
  6. saurav yadav Reply
  7. Akhil Reply
      • Akhil Reply
  8. bTecHy Reply
  9. Jayanta Reply
  10. siteGuru Reply
  11. rahul Reply
  12. Surendra Reply
  13. Hossain Reply
  14. Hkd Reply
  15. mayur Reply
  16. V K Reddy Reply
  17. V K Reddy Reply
  18. Ansari Geyasudin Reply
  19. V K Reddy Reply
  20. Sourav Das Reply
  21. V K Ready Reply
  22. somnath Reply
  23. Ajay S Reply
  24. Nikesh Kumar Reply
  25. Praveen Kushwaha Reply
  26. Nayn Reply
  27. Kiran Reply
  28. Kumar Srv Reply

Leave a Reply

%d bloggers like this: