DigiBank Kya Hai Digi bank ka debit card kaise banate hai

Hello guys aaj main apko bataunga ki DigiBank Kya Hai Digibank ka debit card free me kaise banate hai. To aap mera ye post last tak read karein. Kyonki apko digibank ke baare me ek dam sahi jaankari dunga.

Agar apke pass koi bhi bank account nahi hai. Ya apke pass online shopping karne ke liye debit card nahi hai. To ye post Apke kafi kaam ki hai. Jiske read karke aap apna ek mobile banking ka account open kar sakte hai.

DigiBank

DigiBank Kya hai Digi bank me account kaise open karein

Dosto Digi Bank ek aisa mobile bank hai jisme aap apna account open karke mobile banking use kar sakte hai. Isme apko kisi bank me visit nahi karna padta hai. Or 3-4 Step me hi aap apna account isme open kar sakte hai. Jiske sath apko isme bank jaise service apko milti hai. Online shopping karne ke liye apko ye visa debit card bhi provide karte hai.

Iske baare me maine niche images ke sath step by step bataya hai. Aap hamare step follow kare or digi bank me ke baare me zyada jaankari payein.

Digi Bank me apna account kaise open karein?
Digi Bank me apna account open karne ke liye apko apne smartphone me DigiBank ka apps download karna hoga. Ab apko us app ko open karna hai or “Sign up” Button par click karna hai. Tab aisa kuchh interface open hoga.

1: Apna Full Name type karein. 2:- Apna Date of Birth type kare. 3: Ab Next Button par click karein. Isi type se apko aage ke steps me apna Adhaar number, Or mobile number type karna hai. Or Login karne ke liye username or password set karke apna account open kar lena hai.

Fl Studio Ka Data Download karen ke liye click here.

Bus ye step se hi apka Digi Bank ka account open ho jayega. Ab login karne ke baad apka account ka interface kuchh is type ka hoga. Jisme apko apka account number or apko ek visa debit card hand to hand provide kar diya jayega.

Digibank Account me paise kaise add karenge.


Dosto uper image me step diye hai pahele inko samzhein. 1: Apka bank me kis name se account hai. 2: Apka digi bank ka account number. 3: Bank ka IFSC Code ye apko provide kar diya jata hai.

Aap ye details apne pass save (Note) kar ligiye. Ab aap apne is account me kisi bhi bank me jaker paise add (Deposit) Kar sakte hai. Apka paisa digi bank ke account me aa jayega.

Digi Bank ke debit card ka use kaise kare ?

Dosto mere pass waise to 3-4 real Bank account hai. But fir bhi main online shopping ke liye main digibank ke debit card ka hi use karta hun.
Kyonki ye ek virtual debit card hai jisme main apni zaroorat ki hisab se paise deposit karwata hun. Or debit card ka use karke shopping kar leta hun. Isse mera kaam bhi ho jata hai or mera real debit card hack hone ke chance bhi nahi hote.

Digibank me account open karne ke baad digi bank ek visa debit card provide karta hai. Jisko aap digibank ke apps me login karke uska details dakh sakte hai. Apne digi bank ke dashboard me apko visa debit card ka option show hoga us par click karein.


1: Ye apke Debit card ka 16 Digit Number hoga. 2: Debit card ke expire date apko idhar show hoga. 3: Apne debit card ka “CVV” Number dakh sakte hai.

Aap apne is card bhi details ko ko bhi save (Note) karke rakh lein. Ab aap is card ke details ka use karke kuch bhi shopping kar sakte ho. Debit card se payment karne ke liye apko apke mobile par otp send kiya jata hai. Tab apko payment successfully hoga.

Agar apko koi issue ho to aap mujhe comment kar sakte hai. Yaa aap hamare internet se related Sabhi post yahan dakh sakte hai.

6 Comments

  1. DjGanesh Verma Agra Reply

Leave a Reply

%d bloggers like this: