how to unlock and reset android mobile password or pattern lock without password. kisi bhi android mobile password or pattern lock kaise unlock kare.
Agar aap apne android mobile ka password ya pattern bhool(forgot) jaye. to aap usko kaise unloack kar sakte ho. ye me aaj apko is post me batunga. hamari pichhli post kharab memory card ko kaise repair karte hai. ye bhi padhe. damage memory card ko kaise repair karte
Hello Friends welcome to my website. Aaj me apke liye ek post laker aaya hun jo apke liye kafi power full hogi.
Me is post me apko apna android mobile ka password or pattern lock kaise unlock kare. agar hum uska password or pattern bhool (forget) jaye.
Aaj me is post yahi bataounga maine aksar dekha he ki kafi log apne mobile me password badlte rahte he or kabhi kabhi wo apna password bhool jate he tab wo apne mobile ko mobile repair shop par le jate or wo unse kafi paise le late he.
to ab ye kaam aap bhi kar sakte ho. android mobile ka password or pattern lock ko aap khud unlock kar sakte he wo bhi bas 1 minute me.
apne android mobile ko unlock karne ke liye ye step follow kare.
sabse pahle apne mobile ko power off ( shut down) kar di jiye
Step 2 aur apko right side me volume + up button aur power button home button ko ek sath press karna he. Tab apke samane android mobile ki boot menu screen open ho jayegi.
fir apko usme kuchh option show honge.
usme apko ek option dikhai dega Wipe data/reset factory mode. apko us option ko click karna hoga.
lekin us waqt apki touch screen kaam nahi karegi apko volume key or power key home key se option ko follow karna hoga.
Android mobile me volume key up/down ka work karti he or power button Ok ka kaam karta he
or kisi mobile me home button Ok ka kaam karta he.
and kisi me volume up bhi Ok ka kaam karta he.
Step 3 apko Wipe data/reset factory mode par volume down key laker aana he or power button se Ok karna he.
Step-4 usme kafi option honge No or Yes
ab apko usme Yes ke button par Ok karna he bas apka mobile ka password or pattern lock unlock ho jayega.
Step: 5 fir apko 1st option par reboot system now par Ok karna hoga.
To apka mobile pahele jaisa naya ho jayega or paasword and pattern lock bhi unlock ho jayega.
Agar apko koi bhi problem hoti he to comment box likhkar bataye
me apki help karunga
Or aap isme jo video he ise bhi dakh sakte is video me maine apne android mobile ka pattern lock ko
unlock kiya he.
android mobile password pattern lock kaise unlock kare.
aur koi problem hoti he to app mujse comment box me comment kar sakte he me help karunga.
How to repair damage sd card in pc by software
pc se lock ko kaise tode
maine isko kafi bar try kiya he mujhe abhi iski achhi jaankari nahi mili jaise hi ye hoga to me share jaroor karunga
or abhi me itna kah sakta hun ki windows install karke hi kar sakte hai.
Sir mera samsung galaxy j5 hai, ye mobile mene mere friend se kharidke liya tha, isme ek pattern lock laga hua tha, lekin mene friend se bina puche aapki android mobile password unlock wala article padkad mene reset kar diya, reset to yua lekin isme ek email id dalne ko kehrahi hai woh bhi agle wala email id, ese me kaise naya account kaise banasakta hoo, iske alawa kuch bhi option dikha nahi rahe h, please sir help me, mujhe aapki madad mile to mujhe khusi hogi.
Aap usme kisi friends se uski email id insert kar sakte he.
ya new apni email bana le. simple tarika he. gmail par creat new account kare.
lock torne ke bad phon ka data delete ho jayega ya bhachega
phone delete ho jayega. backup bana le.
Sir lava a67 ka frp bypass apk chahiye plz help
my phone me vollyam key kaam nahi karti to mobile unlock kese karo pls batao sis
to impossible without volume key. jis taraha se keyboard ke bina type nahi kar sakte is tarha.
Sir Download page code aur chahiye hamko
wo bhi already upload hai site par or youtube channel par
Hello sir i am dj shekhar panchal sir mere pc ka all data shotcut ban gaya hai sir please koi solution bataey jise mera data sahi ho jaye
shortcut ban gaya hai to matlab data wapas karna imposible. Kyonki ye ek bahut danger virus hai. Jo apke pc ka sara data one by shorcut hota jayega.
data wapas nahi ho sakta kyonki agar apko koi ek folder 200 mb ka tha to ab wo shortcut me 2-4 KB ka ho gaya hoga.
apko apna pc me antivirus install karwa padega. Ya pc ko full format karke new windows install karna hoga.
or ye virus tab aata hai jab aap pc me usb, memory, pen drive zyada use karte hai.