Aaj ki hamari post tips & tricks se related apne android mobile ko chori hone se kaise bacha sakte hai. Ya apne smartphone ko kaise protect kare chori hone se. G haa dosto aaj ki is post me apko batane wale hai. Android smartphone ko chori karna to door usse koi touch bhi nahi kar sakta. iske baar me aap is post ko last tak padhe.
apne android mobile ko chori hone se kaise bacha sakte hai
Aksar aapka mobile tabhi chori hota hai. Jab ya to aap usko Charging par laga dete ho. Ya apne se alag apne house par kisi kaam ke karan usko apne se alag rakh dete ho. To post ko padhne ke baad aap apne android mobile ko charging, kisi bhi jagah par rakhe smartphone ko bhi safe rakh sakte ho.
Chaliye Shikhte hai ki Apne android mobile ko chori hone se kaise bacha sakte hai.
Sabse pahele aap apne android smartphone me google play store se ek apps download kare. Us apps ka name hai “Don’t touch my phone” ye wala apps apko download karke install karna hai.
Jaise hi aap is apps ko download karke apne smartphone me isko install karnge. To apko ise open karna hai open hone ke baad apko is tarha ka interface show hoga. Aap iske step follow kare.
ye aap kaise work karegi or kya work karegi.
Iske step follow karne se pahel iske baare me kuchh jaan lete hai. Ki ye apps kaise work karegi or kya work karegi.
Is apps ki khass baat ye hai ki jab aap apne android phone ko kahin par rakh dete ho jaise Charging par. To jaise hi apko phone ko koi dusra person ise touch karega to ye “siren” play karta hai. Jisse apko pata chal jayega ki apka phone kisi ne touch kiya hai. Ab aap iske step follow kare ki isko kaise activate karna hai.
Step 1 Yahan se aap agar chahe to koi apne pasand ka sound set kar sakte hai. Ya default hi rakh sakte hai.
Step-2 Pin option waise to aap isko Ignore bhi kar sakte hai. But main apko recomend karunga ki aap yahan par koi apna pin set kare. Jiska apko apps ko use karne ke baad pata chal jayega.
Step:3 Ab apko “Activate” par click karke apne android smartphone ko kahin par rakh sakte hai.
Jaise ab agar koi apka phone touch karega to ye alarm play karega. Aap khud try kar sakte hai. But ye apps ek baar activate karne ke baad ek hi baar work karegi. To isliye aap jab bhi apne Phone ko Charging ya kisi jagah par rakhte ho to apko is aaps ko “Activate” karke rakhna hoga.
I Agar apko iske baare me pata nahi hai. To apko ye post bahut pasand aayegi. Ye post apko kaise lagi aap mujhe comment box me likh kar bata sakte hai.
Ye bhi dakhein
Hamari website ki latest update post apne email par recive karne ke liye. Hamari website ko subscribe kare.
Ek song me two bpm kaise set karte hai.
Jaise ki song ka pattern kuchh time tak 90 bit par play ho aor kuchh time baad 110 per play ho wo bhi usi pattern me.
Example:- kurbaan film ke song me huwa hai.
Song name :- too jab jab mujhko pukare.
Please reply sir.
ye aise song ek baar me nahi create hote. Inko banane me time lagta hai. or Aise song ko hign bpm par to set kiya jata hai. jahan par slow karna hota hai. wahan par 8 steps kick wala pattern banate hai 8 step matlab kick 2 baar. or high karne ke liye 4 step kick 4 baar. aise kar sakte ho.