Adgoi Se Paise Kaise Kamaye How To Make Money Ad Goi

How to make money to adgoi any website. Adgoi se paise kaise kamaye kisi bhi website par. Dosto aaj main apke liye ek or bahut achha tarika laker aaya hun. Jisse aap apni website se achhe paise kama sakte ho. Is Website ka name hai adgoi.com jo bahut achha paisa deta hai. Or apke payment karne me bhi koi issue nahi karte.
Kyonki Mujhe kafi users ne puchha hai ki hum Apni music download site kis company ka ad lagayein. To aap ad goi ke ad apni website me laga sakte ho. Aapko Ad goi ke ads apni website me kaise lagana hai ye post start se last tak achhe se read karein.

Website se paise kamane tarike.

Adgoi Se Paise Kaise Kamaye How To Make Money Ad Goi

Ad Goi ke ad apni website me lagane ke liye apko sabse pahele adgoi.com me apna account create karna hoga.
Ad Goi Account kaise banaye ?
Sabse Pahele apko Adgoi.com ke website par jana hoga. Or wahan apko login or Sign Up ka option hoga Jaisa ki is iamge me dikhaya hai.

Adgoi
Yahan apko ye step follow karne hai.
1: Apko Account create karne ke liye “Sign Up” Button par click karna hai.
2- Is Box me apko apna koi accha sa “Username” Type karna hai.
3: Baki apko Email, Mobile, Name, Address dalkar ye form fill kar lena hai.
4- Finally form fill karne ke baad apko “Signup!” par click karna hai.

Ab jaise hi aap signup karoge to apka account create ho jayega. Uske baad apko kuchh aisa msg show hoga.

Well done ! Your account registered successfully. Login/Password details sent on your mobile(90XXXXXX61) & Email : [email protected]. If account details not received, Contact us

To Iska matlab ki apka account create ho gaya hai. Or apke account ka Username, Password Apko Apke Mobile No, Email par send kar diya gaya hai.

Ab Ad Goi Dashboard Me Login Kaise Kare?
Iske liye aaap ye image ko follow karein. Or Niche Diye iske step bhi follow karein.

Apko jo apki email or mobile par usename or password mila tha usse apko login karna hai.
1st Apan Username type karein. 2nd Is Box mein Apna Password Enter karein. 3rd Captha Code type karein. 4th Ab “Login” Button par karein.

Agar aapne username, password, captcha code sashi sahi enter kiya hoga to aap ad goi dashboard me login kar jayenge.
Ad goi me login karne ke baad ab apko isme apna website ko add karna hoga jis par aap ad lagana chahte ho.

Adgoi Mein Website Kaise Add Karein?

Chailiye Ab apko ad goi me website ko add karna bata deta hun. Ab Is image or iske niche diye step ko follow karein.

1st: Apne ad goi dashborad me login karne ke baad left side me “Publisher Zones” Par click karein.
2nd: Ab apko “Register new Zone/Site” par click karna hai.
3rd: Tab apko apni site ka name type kar digiye.
4th: Is Box me aap apni website ka url paste/type karein.
5th: Category agar by default downloads/Entertainment selected hota hai. Isko hi aap rahene de. Agar apki site music download site hai to.
6th: Ab finally Apko “Submit” par click kar dena hai.

Ab apki website Ad Goi Account me Add Ho Gayi hai. Ab apko 24 Hours ka wait karna hoga kyonki abhi apki site pending me rahegi.
Kyonki Ad goi ke team apki site ka review karke apke domain ko approved karegi. 99% Ye Sabhi sites ko appored kar dete hain Agar site ka content or look sahi hota hai tab.

Ab Website approved hone ke baad ab apko apni website me ad code lagana hoga.

Website me Adgoi ke ad kaise lagaye

To chalo ab mein apko website me ad goi ke ad kaise lagana hai iske baarein me bhi guide kar deta hun. Agar apki website ad goi ne approved kar diya hai. Ad lagane ke liye aap ye images or iske step follow kigiye.

1: Ab aap Ad goi dashboard me login karke left side me 1st option “Publisher Zones” par click karein.
2- Aap isme jitne chaho utne site add kar sakte ho, Apki Sabhi sites apko yahan show hongi. Site apporved or pending status yahan se check kar sakte hai.
3: Jis Site par apko Ad Goi ka ads lagana hai Us website ke right side me “</> AdCode” par click karein. Tab apko kuchh aisa code show hoga.

1St: Yahan apko 2 type ke code diya jayega. 1 Php ka code, 2 Wapka, Html type code. Yahan main apko suggest karunga Wapka, HTML, Xtgem Sites code ke liye. Aap isko click karein Ye sahi hota hai.
2nd: Ab jo code apko box me show hoga apko us code ko select all karna hai, Or copy kar lena hai. Ab aap jis bhi website me jahan jahan ad show karwana chahte hai. Wahan wahan ye code aap paste kar digiye Apki site ap ad goi ke ad show hone lag jayega.

Agar apko ad code lagane me ya koi bhi problem ho rahi hai. To aap mujhe niche comment kar sakte hai, ya mera facebook page join karke mujhe faceboo par bhi comment kar sakte hai. Apko apki puri help karunga.

Ab aap Ad Goi ke ad apni website me laga sakte ho. Kyonki kafi popular site bhi iske hi ad apni website par laga rakhe hain.

To ummeed karta hun ke apko ye jaankari achhe se samazh aayi hogi. Agar bhi bhi apko koi confussion hai to comment mu puchh sakte ho.

Music ke website se Adsene approved karwane ka tarika Hindi mein. Webiste banane ka tarika hindi me.

Leave a Reply

%d bloggers like this: